UP Anganwadi Worker Bharti 2026 (District-wise Form)
ICDS UP · Last update:
UP ke kai zilon mein Anganwadi Karyakatri ki bharti chal rahi hai. Abhi Kasganj (208 pad, 4 November tak) aur Moradabad (51 pad, 28 October tak) ke form khule hain.
Umar18–35 saal
Padhai12th pass
FeesKoi fees nahi
Important dates
Exam date
Pariksha nahi, merit se chayan
Application fee
| Sabhi varg | Koi fees nahi |
Bhugtan: Debit card, credit card, net banking ya UPI
Vacancy
| Kasganj (4 Nov tak) | Moradabad (28 Oct tak) |
|---|---|
| 208 | 51 |
Yogyata
- Sirf mahila ummeedwar
- 12th (Intermediate) pass
- Usi gaon / ward / nyay panchayat ki niwasi honi chahiye jahan se apply kar rahi hain
- Har zile ki aakhri tareekh alag hai, apne zile ka aadesh zaroor padhein
Apply kaise karein
- upanganwadibharti.in kholiye
- Apna zila aur pariyojana chuniye
- Online form bhar kar documents upload kariye
- Form ka print rakh lijiye
Form bharne mein madad: Photo / signature resize · Age calculator
